Thursday, February 13, 2014

Aye khuda jab bana uska hi bana


Meri kismat ke har ek panne pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal har ik lamhe me
Tu likh de mera usey
 
Har kahaani me saare qisson me
Dil ki duniya ke sacche rishton me
Zindagani ke saare hisso mein
Tu likh de mera usey
 
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Uska hoon uss me hoon uss se hoon
Usi ka rehne de
Main toh pyaasa hoon hai
Dariya woh zariya woh jeene ka mere
Mujhe ghar de gali de shehar de
Usi ke naam ke
 
Kadam ye chale ya ruke ab usi ke vaaste
Dil mujhe de agar dard de uska par
Uski ho woh hasin goonje jo mera ghar
 
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Mere hisse ki khushi ko hansi ko
Tu chaahe aadha kar
Chahe lele tu meri zindagi par
Ye mujhse vaada kar
 
Uske ashqon pe ghamon pe dukhon pe
Har uske zakhm par
Haq mera hi rahe har jagah har ghadi haan umr bhar
Ab faqat ho yahi woh rahe mujh me hi
Woh juda kehne ko bichhde na par kabhi
 
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana
Aye Khuda aye Khuda jab bana uska hi bana

Meri kismat ke har ek panne pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal, har ik lamhe me 
Tu likh de mera usey
 
Aye Khuda Aye khuda
Aye Khuda Aye khuda.....!

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.